Is aas me chala jaunga main ye jahan chor kar Ke shayad mera marna hi kuchh kaam aayega Shayad chali aaye tu us pal mere paas daudkar Jis pal tere paas meri maut ka paigam aayega..!
Kuchh cheeze hum purani chhod aaye hain, Aate aate uski aankho me paani chhod aaye hain, Ye aisa dard hai jo bayaa ho hi nahi sakta… Dil to saath le aaye dhadkan chhod aaye hain…!!
Har saans ke saath mujhe socha karoge tum, Apne hi aks mein dhoonda karoge tum.
Jab yaad ayegi tum ko wafa meri, Phir har shaks ko chahat se dekha karoge tum.
Aaj meri tanhaiyon pe has rahe ho naa, Mujhse bichad ke isi baat pe roya karoge tum.
Kbhi laga wo mujhe sata rahe hai, Kbhi laga ke wo karib aa rahe hai, Kuchh log hote hai ansuon ki tarah, Pata hi nahi lagta sath de rahe hain, Ya chhod kar jaa rahe hain…!!
Na wo aa sake, na hum kabhi ja sake, Na dard dil ka kisi ko suna sake, Bus khamosh baithe hain unki yaado me, Na usne yaad kiya na hum use bhula sake.
एक शाम आती है तुम्हारी याद लेकर एक शाम जाती है तुम्हारी याद देकर पर मुझे तो उस शाम का इंतेज़ार है, जो आए तुम्हे अपने साथ लेकर….!!
Thursday, 13 August 2015
Kitna pyar hai tumse ye jan lo, Tum hi zindagi ho meri Is baat ko maan lo…. Tumhe dene ko mere paas Kuchh bhi nahi…. Bas ek jaan hai, Jab ji chahe maang lo……!!